Click here to download ————-> Chorh Ke Sab
Artist – Sajal Band
Song – Chorh Ke Sab
Composer, lyricist & Vocalist – Raza Khan
Guitarist – Mohsin Kafeel
GM Studioz
Hum ne he chaha tha tum ko sadaa,
Tumhein magar na dikhi woh zindagi.
Kaise karein hum yakin tum hi ho,
Woh jis ne thi hum ko chaahat sikhai.Jane kaise chaahat ke rung dikha kar,
Tanha rahon pe koi chorh jata hai,
Kuch hi lamhon mein nai rahein dhund kar,
Bite zamaane yun hi bhul jata hai.
Chorh ke sab umidein, chal pari zindagi,
Dhundne nai roshni,
Tham na jaein phir kadam, darte hain dum ba dum,
Ab mili hai zindagi.
Diwangi ki had torh kar,
Aur agey yun ab barhna bhi kia,
Rungon se hai yeh bhari zindagi,
Ik hi situm se yun marna bhi kya.
Koi bhi toh na samjhe,
Kaise tum ko chaha hai,
Himat jagi hai jab se,
Rab ko sath mein paya hai.
Chorh ke sab umidein, chal pari zindagi,
Dhundne nai roshni,
Tham na jaein phir kadam, darte hain dum ba dum,
Ab mili hai zindagi.
Anjana kal tak tha,
Dil apna, khud hi se,
Tum na the woh sapna,
Zindagi jo behlae.
Jane kaise chaahat ke rung dikha kar,