Band: Strings
Song: Mein tou Dekhoonga
Lyrics: Bilal Maqsood
Director: Jami
Dop: Farhan Hafeez
Post: Random XS
Colour: Sharp Image
Stylish: Ehtesham
Mixed by Ishaq
Production: Azadfilm Co.
Lyrics
Mein tou dekhoonga
Mein tou dekhoonga
Tum bhi dekho gye
Tum bhi dekho gye
Jab roti sasti hogi
Aur mehngi ho gi jaan
Wo din phir aayega Jab aisa,
Hoga Pakistan
Mein tou dekhoonga
Mein tou dekhoonga
Tum bhi dekho gye
Tum bhi dekho gye
Jab rang barangay jhanday
Ik parcham mein ghul jaengay
Aur idhr udhr ko jaate rastay
Ik mod pay mil jaengay
Jab bachchay mulq pay raaj karein
Aur school mein bethain hon siyasatdaan
Wo din phir aayega Jab aisa,
Hoga Pakistan.
Mein tou dekhoonga
Mein tou dekhoonga
Tum bhi dekho gye
Tum bhi dekho gye
Jab mulq ko baich Kay khane wale
Khud hazm hojaengay
Aur pushton say Jo gaddi bethay
Sab bheer may mil jaengay
Jo duur Gaye thae bhoolay say
Lautaengay phir watan ko aik shaam
Wo din phir aayega Jab aisa,
Hoga Pakistan.
Mein tou dekhoonga
Mein tou dekhoonga
Tum bhi dekho gye
Tum bhi dekho gye
Jab roti hogi sasti
Aur mehngi ho gi jaan
Wo din phir aayega
Jab aisa hoga Pakistan
Mein tou dekhoonga
Mein tou dekhoonga
Tum bhi dekho gye
Tum bhi dekho gye
Comments are closed.