Khayal Rakhna – Alamgir & Banjuman Sisters
Pakistani patriotic song
Poet: Tahir Parwaz
Music: Nisar Bazmi
naey dinon ki musaafaton ko ujaalna hai (ujaalna hai)
wafa se aasooda saaton ko sambhaalna hai (sambhaalna hai)
ummeed-e-subh-e-jamaal rakhna, khayal rakhna
khayaal rakhna, khayaal rakhna, khayaal rakhna (x2)
yeh dhoop is ki, yeh chaaon is ki, hamaari daulat (hamaari daulat)
yeh khaak-e-paak is ki apni izzat hai apni azmat (hai apni azmat)
naey dinon ki musaafaton ko ujaalna hai (ujaalna hai)
wafa se aasooda saaton ko sambhaalna hai (sambhaalna hai)
ummeed-e-subh-e-jamaal rakhna, khayal rakhna
khayaal rakhna, khayaal rakhna, khayaal rakhna (x2)
waqaar is ka kabhi na kam ho, kabhi na kam ho (kabhi na kam ho)
yeh sabz parcham tamaam aalam mein mohtaram ho (han mohtaram ho)
naey dinon ki musaafaton ko ujaalna hai (ujaalna hai)
wafa se aasooda saaton ko sambhaalna hai (sambhaalna hai)
ummeed-e-subh-e-jamaal rakhna, khayal rakhna
khayaal rakhna, khayaal rakhna, khayaal rakhna (x2)
watan se ham hain, watan hai ham se, khayaal rakhna (khayal rakhna)
chalo mila kar qadam qadam se, khayaal rakhna (khayal rakhna)
naey dinon ki musaafaton ko ujaalna hai (ujaalna hai)
wafa se aasooda saaton ko sambhaalna hai (sambhaalna hai)
ummeed-e-subh-e-jamaal rakhna, khayal rakhna
khayaal rakhna, khayaal rakhna, khayaal rakhna (x4)